Sunday, July 17, 2011

Pyaar Mere

Ruth Gunguna raha hai
Rooh geet gaa raha hai
aankhen chamak rahi hai
palkein jhilmila rahi hain
bitaayein jo pal aaj piya sang
bhiker diye is tasveer par sau rang

Ajab si masthi hai chaayi
bin mothi payal jhankaayi
naach rahi dhadkan meri betaal
Khanak rahe gungru, mila rahi jaise taal se taal
bitaayein jo pal aaj piya sang
kar diya rangeen har berang

Sajneka man kar raha hai arson baad
savarneka ji kar raha, jaana hai piya ke saath
Kiya hai waada le jayega apne desh
jald hi layega woh yeh sunhara sandhesh
bitaayein jo pal aaj piya sang
bitha sakoon har lamha tere sang

Mann kitna hai baichein
paas paane ko tadap raha hai dil
Choomne ko jee chaah raha is pal
Lele apni bahon main, aur karle mujhe hasil
bitaayein jo pal dooriyon main aaj tere sang
bithaana chahoon kareeb se wo har ek pal

Thod de yeh majboori ka bandhan
na raha khudpar koi kaabu
Leja door apne sang
ghuma apni chadi aur kar de koi jaadu
bitaayein jo pal dooriyon main aaj tere sang
Bitaana chaahoon har woh pal hokar bekaabu

Door ho yaa paas
ehsaaas tho ehsaaas hai
dooriyon main hain yeh nasha
tho mulakaath ka maza tho kuch khaas hai
bitaayein jo pal dooriyon main aaj tere sang
bithaana chahoon kareeb se, yahi meri aas hai

Is saza main bhi hai ek alag hi nasha
tera pyaar jaise sar chad kar bol raha
Is nashe main dhuth, hoon tujhpe fida
aana jald lene mujhe
phir kabhi na karna khudse juda!

Sunday, July 10, 2011

Dil Pill

Ladki badi anjaani si
sapna hai sach ya kahaani thi
naji re na na
nahi koi bollywood track sunaana
par hai yeh story kuch waisi hi...

Nahi thi wo koi hoor ki pari
naa ooncha kadh yaa chitti gori
naa sheela ki jawaani
na munni ki badhnaami
bas thi ek pagal sirphiri deewaani

Na thi wo koi madhgaamini
na rambha urvashi mohini
ek seedhi saadhi chori
man loot baiti chori chori

Ya tho chora tha pagal
yaa tha ankhon se thang
maara prem rog ne aisa fang
mara na mara, adhmara reh gaya
sochtha hoga ab, eh khuda yeh kahaan phas gaya!

tha munda pagal us londiyaa ke peeche
sau choriya marthi hongi uspe
kya use koi na dikhi, sivaaye iske?
Thing before u leap u dude
take a chill pill
warna lena padega later dil pill.

sau mana kiya chori ne ediya ghis ghis ke
par ek na suni usne, invited apni kismat khud se
dhodi baagi ladki usse chip chip ke
par peecha na choda us chumbak ne kasam se

Uski deewangi par marna tho tha hi by god
nateeja kya hua,
dono aa gaye in the middle of the road.
ab tho halath hai kisi dhobi ke kutte ki
jo nigala wo na hazam hoye
na hi koi naya panchi nigala jaaye

ab man hi man bhagtha hoga ladka chip chip ke
par kya kare, aaya twist in the story
ladki chipku ho gayi hai us chamku ke!

Moral of the kahani is
maano badon ki baath before its late
thabhi kahath kabeer das
ab pachtaaye hoth kya
jab laundiya chug gayi fate!

Saturday, July 9, 2011

Aas

Mudhathon baad hai milne aaye
aapko dekh khil utta hai man
maano lash main aa gayi ho ek nayi umang.
Par is mulakaath main hum tho khush hue
magar gumsum hai aap!

Maana is mulakaath main nahi kee humne koi gufthugu
naahi chip-chip ke kee koi guturkoon,
na gaye bahar dekhne koi picture,
ya khaayi koi paani poori milkar.
Par arson baad mile tho sahi
yahi hai mere liye sabse badkar.
Is mulakaath main hum tho khush hue
magar gumsum hai aap.

Kya isliye ki root gayi hoon bewaja, hamesha ki tarah?
gussa ho rahi hoon apne pyar par bewaja, hamesha ki tarah?
Rooti nahi, bus khamosh hoon
aankhen bandh hai meri, bas madhhosh hoon
ab tho rahoongi main hardam tere saath
bankar tera saaya din ho ya raat.
Is saath se hum tho khush hue
magar ab bhi gumsum hai aap!

Maana aaapne chaaha tha dene mujhe saadhi ka joda
lekin pehna sake sirf kafan ka joda
Magar aapke haath se mila kafan hi hai, aaj mere lagan ka din
mehandi na rachayi magar, khoob nikhar gaya hai mera dil.
sadha suhagan marna bhi tho hai kismat ki baath
Is Kismat se hum tho khush hue
magar gumsum hai aap

Math rehna is kadar gum main aap
kar dena meri saari galthiya maaf
Anjaan samajhkar bhula dena voh saare gum
jo diye hai maine bin soche hardum

Aapki is tanhaayi ko dekh
nahi reh sakthe hum aapke paas
karna shuru ek nayi zindaagi
yahi hai meri anthim aas
aapko jeetha dekh, jeeloongi apni zindagi main
aapka pyar dekh, paaloongi apni chaahat main
nahi karoongi koi gila, sauthan le aaye aap
In khushyon main hum honge bohoth khush
aur is baar gumsum nahi hai aap

Bheek ki zindagi

Ghadi ki sui ki tik tik main beethe ek ek pal
Is tik tik main beethe aaj or kal
kal kal main nikal jaathe hai maheene
Barah maheeno main guzar jatha hai ek saal

Saans lethi is kaaya main tadap rahi yeh rooh
toot chuka hai ab jaise saara huroor
Darthe hai ke pol na khul jaaye meri
Jhoot ka pull girr jaaye na kahi
Yun chip chip ke jeene main koi maza nahi
Zamaane se dar kar jeena, saza se kam nahi

Kaun samaj sakhtha hai, yeh majboori meri
Jab thak aap par hi na toote aisa keher koi
Doosron ke dard ko samajhne ke liye dard sehna zaroori hai
warna door se dekhne walon ke liye tho sirf
dukh bhari ek kahani hai

Agar nadiya ke us aur jaana hi na tha
tho kyon kiya shuru is safar ka karvaan
Jis makaam par phonch hi na sako
kyo shuru kiya us sangharsh ki dastaan

Ab na doongi is pal ko salon main badalne
Chahoon ek faisla jo zindagi badal de
Koi gum nahi is kahani ka anth kya ho
par chahthi hoon yeh intezaar yahi khatam ho

Nahi chahoon main ek zindagi
jo payi gayi ho bandhook ki nok pe
Nahi chahoon ek faisla
Jo liya gaya ho kauf ya dar se

Paane ka naam hai jab hak se mile
Jeene ka naam hai jab khushi se jiye
Aanson ke bal par mili khushi ka kya mol
dhamki aur dar se uttaye kadam ka kya tol

Karli hai maine intezaar ki hadh paar
nahi jeena chahoon jiske dagmagathe ho chaal
Bheek main mili zindagi na jeena chahoon main
Seena channi kardo
dil ko karlo chalees
kisiko bhi na laangni pade
Badhkismati ki yeh dehleez!

Guzaarish

More piyaa
ab thadpaoon na mora jiya

Paas mere aaoona
door ab jaaoo na
hoton se kuch na kaahan
par saanson ko samaj jaona
More piyaa
ab thadpaoon na mora jiya


Tujh sang jo pal bitayein hai
kab jaake vapas aayenge
raha na jaaye ek pal bhi ab
ek pal bhi tere bin piya
More piyaa
ab thadpaoon na mora jiya


dhadak raha is kadar mera man
paas aake dhadkne meri sun
isi bahane pas paoongi tujhe,
is pal ko karlu hazil, lagi hain bas yahi dhun

yeh ruth kab badlegi
kab badlega ye mausam
intezaar hai yeh kabki
oodlu apne jism main, khushbu tere jism ki
baras ja mujhpar,bin badal barsaat sa
More piyaa
ab thadpaoon na mora jiya

Jo thadap is taraf hai
wo thadap us tharaf bhi hai
phir kyon rakhein yeh faasle
kuch hasi pal hain chune
karlo hasil jo bhi sapne hai bune

tu dil ki bekaraari,tu sukoon
tu hamsafar, tu arzoon
basaale apne main mujhe is kadar
doonde koi mujhe
to aon teri aankhon main nazar

Tere sang jiyoon,
har rastha tere sang chaloon
churaaya tha thune chein mera
ab churaale mujhse sab kuch mera
Ab na rakho yeh dooriyaa
More piyaa
ab thadpaoon na mora jiya

Yeh dooriya ab sauthan jaisa laage
mohe kuch bhi achaa na laage
Sab kuch kho kar paya hai
ab pakar khone ko dil na maane
More piyaa
ab thadpaoon na mora jiya

ab mitaadho yeh dooriya
dil se dil mila do mere piya,
seene main chup jaane de
saanson mein kho jaane de
ek din par hakk ho bas mera
More piyaa
ab thadpaoon na mera jiya

Apne Paraye

Parayo se zyaada apno se dar lagne laga hai
pyaar se zyaada nafrath suhaana lagne laga hai
Thappad se zyaada apno ke saath se dar lagne laga hai
vadon se zyada naumeede par bharosa hone laga hai

Aane waale kal ka kya bharosa
beethe aaj ki shukraguzaar hoon
Is umeed se ki zindagi beeth jaaye is aaj se
koi aur aaj na aaye is aaj se

kehthe hai jiyo jaise kal na ho
haso jaise koi gum na ho
lekin main chahoon
jiyu aaj jaise kal kabhi na aaye
hasu aise ki hasi main dhadkan rukh jaaye

Parayon se tokar khao
tho paraya kehkar bhulaaya ja sakhtha hai
lekin apno se dhoka khao
tho kya kehkar dil ko sambhala ja sakhtha hai

zindagi ki is ladai main
itni sakhth ho gayi hoon main
mere dard na dikhe jaise
apno ke dard ko saamajhna bhi
zaroori nahi samajhthi main

Poori zindagi, din ki shuruwaath us aane waale din ke swagath main hothi thi
pyar ke baad din ki shuruwaath kisi ke sapne sajaye shuru hothi thi
phir jo waqt badla ki din ka ujaala aur raath ke andhere main pharak kaha tha
toot gayi is kadar ki ujaale se ujaala bhi andhera lagtha tha
Is toote waqt ki aadhath hui tho,
din ki shuruwaath doobe dil ki naumeedi se hothi thi,
par ab itna sudhaar aa chuka hai waqt main
Ki na dard ka ehsaas hai, na koi naumeedi ki chubhan
na koi asra na koi arzoo ya lagan

Is ehsaas main bhi khudh ka sukoon hai
Sukhoon hi sukoon hai!

Ee Khuda

Sab ka rab tho so raha hai aankhen khol
Chup kyo baita hai kuch tho bol...

kehthe hai sab likhkar aathe hai apni taqdeer uper se
tho kyon diye itne gum sabhee ko umar bhar ke
kya nahi kar sakhthe tum apna kaam dang se
tho kyon kehthe ho khud ko khuda itne fakr se

Honge sau jawab tere is ahankaar ke
Jo insaan tho bana diya
lekin, bohothon ko zinda hi kafan pehna diya!
hai agar tujhe pyar apne sabhi bandho se
tho kyon kiya bhedh bhaav
kisi ko di khushya lutaake, tho
kuch ko na di zindagi aadhi paav

Ae khuda, yeh chuppi thod
maangu main tujhse is masle ka jod
dil kahhi dhadkan hai kahi
raah hai jiski manzil hi nahi
reth se phisal rahi hai taqdeer meri

kaise jiyu rooh bhi mujhse hai juda
saanse hai magar zinda nahi main Khuda
Agar chaahe main maanu tujhe sach much ka Khuda
tho jaag aur apna chamatkaar dikha

mera pyar hi hai mujhse kafa
Nahi lad sakhthi akele saathi bina
gum ki siyaahi dikhthi hai kahann
kaise likhoon phirse nayi daastaan
rehthi hoon main khud se hi kafa
toone kyon di mujhe yun jeene ki saza!

Tujhe jo karna hai karle
nahi haarne ka mann mujhme ab
jitni chunothiya rakhni hai rakhle
mooh ki na giraaya tujhe, waada hai, bachle!

Saare apno ko khud se door kar diya
maar diya hai jeetheji apne aap
nahi hai ab hazil karni koi makaam
maut kar di hai maine bilkul asaan

jee liye bohoth maine teri meharbaani par
jaag ab, aur bas bulaale vapas mujhe
warna khud hi aa khatkhataaongi tere dwaar par
nahi doongi tujhe ek mauka aur
rachaane apne koi shadyantr naye!

Khel khel main seek gayi hoon paentre tere
ab aa gaya hai waqt
maath denge tujhe tere hi bandhe
apni laaj bachaani hai
tho maan meri baath
poorri karle sabki muraad
yaa khatam karde sabki saas!

Katti Pathang

Neele aasmaan main
phurphuraa raha hai ek rangeen pathang
baadlon se bhi ooncha udne ki hai usme umang
hawaa se takraatha lekin hai hardum ek nayi tarang
kyon na ho, aakhir bandha hai wo apne maanjhe ke sang

udd raha bejhijhak nidar
nahi hai use dooje doro ka dar
bandha hai apne maanjhe se is kadhar
bharosa na thod saka hai koi
tho kis baath ka lage use dar

Bandhe hai dono ek kamzor dor se
lekin mazbooth hai us bandhan ka vishwaas
Jitna ooncha udna ho ud le
nahi tootne dega maanjha uski aas
Yahi bharosa hai uski himmath
Jithni deeel do, uthna ooncha udtha chala jaaye
uske sapno ko paane se koi bhi na use rok paye


Hai nahi yeh hunar us kagaz ke pathang ka
hai woh atoot bharosa us maanjhe ka
jabthak bandhi hai wo us dor se
nahi lagega use dar kisise

Par is ahankaar ki udaan main
ek din katt kar girna tho hai hi
kya kar sakhtha hai wo maanjha
koi gala kaat de apni pathang ka
Itna door kar diya khudse
kya fayda lad kar apni kismat se

Na jaane kaha le jayegi yeh hawa
kise kya patha
apne dor ke ishaaron par udne waali
kya jaane taey karna apna makaam
udthi, ladkhadaathi,
takrathi apne aapko kattthi,
ho jayegi nakaam

Allah ne chaaha tho hoga unka milan
ek bar phir bandh jayegi wo apne maanjhe ke sang
hua agar yeh milan dobara
nahi karegi use khud se door dobara
ab jaan gayi hai voh
nahi hoga tujh bin guzara!

Ijaazath

khudh ki zindagi jeene ke liye
loo main kis kis ki ijazath
ijaazat se mili bheek ki zindagi
jeene ki hai meri kismat

Muskuraane se lagtha hai dar
aisa nahi ki lag jayegi kisi ki nazar
par anumathy nahi hai uski
ijazath loo kis kiski?

Rone ke liye bhi sochna padtha hai bar bar
kis kisko bataani padegi dil ka yeh haal
Kisi ke aage rone ki nahi hai ijazath
dil rotha hai na jaanu kya kar raha ibadath

sapne dekhne se bhi lagtha hai dar
Poora karne se pehle jaathe hai bhikar
hai kya itni kismath meri
ke poori hogi chahath koi
Is bheek main mili zindagi main
nahi hai sapno ki ijazath koi

Hak jathaane se bhi ladkadaatha hai dil
Yeh sochke hak jathaane ka hak rakthi hu kya
Phir kaise maangu main apne hisse ki khushiyaa!
Is badhkismat ka diya hai hamesh is kadar saath
Ab kaise karoon main usse kadvi baath

Apne dil ko bayaan karne ki bhi nahi hai ijazath
yaah khuda, kaisi banaayi hai tune meri yeh kismat!

Ehsaas

Ehsaas hai dil ki dhadak apno ke liye
Ehsaas hai dil ki thadap chahne waalon ke liye
Magar yeh dil tho dhadke maa bhai dosth pados walon ke liye
Par ek pal ke liye bhi taras khathe ho mere is haaal ke liye

Kabhi nahi sochthe kis daur se guzar rahi hoon main
Kuve se khayii main gir rahi hoon main.
apni choti se kamzori par kis kadar toot gaye ho tum.
Tho Kya beethi hogi mujhpar, ehsaas karthe ho tum

kabhi bhi kadar nahhi ki mere is haal ki
Is haal se jude mere aane waale kal ki
zamaane ke dar se jo chupke baite ho tum
Zimmedaari se mooh mod baaite ho tum
par kya jala sakhthe ho mere bhujthe hue jeevan ko
kya waqt ko rok sakhthe ho, thaamne mere arzoo ko

aaaj mere saath main hai
par kal mere haath nahi
saath dene waala hai kaun
kinara lagaane waala hai kaun

Nahi kar rahi hoon main shikayath
sirf apne ehsaas tum tak pohchaane ki koshish hai
Par har baath ko meri kit kit samjhthe ho tum
Meri fithrath ko galath samajhthe ho tum

Ulta shikhayath karthe ho ki koi nahi samajhtha tumhe
duhaayi dethe ho ki mere haalathon ki fikar nai hai tumhe

Kya laghtha hai ki main tumhe nahi samajh paa rahi
kya laghtha hai tumhe ki tumhare haalthon se main na guzri
darr nahi hai mujhe apne aaj par
magar darr hain mere aur tumhare aane waale kal par

Koshish karo samjhne mere is dard ko..
Main kar loongi tera intezaar umar bhar
magar waqt nahi hai itna meharbaan hum par.

Sunday, June 19, 2011

Khichdi ;)

Ishq ka formula jisne jaana
Pyaar ka punchnaama jisne pehchaana
Ho jaaye uska life jhingalaala
gaayega mann har dum oohlala

Is peedi ka pyaar na hoga kum
Ghamoriyon se nahi darenge hum
Jiski khujli na hogi kum
Unko bhet karenge Jhinjola hum

U and i in ds beautiful world
then why get lost in this ccomplex swirl
har baath main taang adaana, kya hai zaroori
Na karo Ungli main tingli
Harpic se dho dalenge, teri yeh khujli

Humne kee hai taayaari jeet ki
Likhne kamyaabi ki daastaan
Agar roda banne ki koshish ki
tho dho daalenge kass ke
bina koi rin, surf ya lux ke

na sar jhukaa hai kabhi, na jhukaayenge kabhi
azme le luck apna
cheen sake cheen le hak apna
Kar apni awaaz neechi
warna de dhana dhan
will have to taste the thunder
just mind ur own bizzness
apne ghar ke ander

Before we get phycological
and become phylosophical
its better be dilogical
warna bhool jaoge apna aaj aur kal

saari umar hum mar mar ke je liye
ek pal tho ab hame jeene do
nahi chahe hum nafrath bhari prem kahani
Jo bolna hai mooh par bol do

Pyar karne waalon ko
nahi dee jaathi phasi
we are worth it
So Keep it simple silly
be a Happy waasi !!

Saturday, June 18, 2011

Nazriya...

Nazriya hai nazar ki soch
nahi kartha koi sankoch
jise sab samajthe hai yahi hai sachayi
Maane yeh tho jhoota hai parchaayi

Yeh nazar tho dekhe jo woh dekhna chaahe
yeh fitrath tho soche jo woh sochna chaahe
nahi hai kuch sahi ya galaath
yeh tho wahi hai jo hai nazar pehchaanna chaahe

ek jogi ne ek din ek bache se poocha
kya dekhthe ho tum is tasveer main
wahi poocha ek tajoorbedaar se
kya dekhthe ho tum is tasveer main

bacha bola dekhoon main do machliya
aasmaan ki aur chalaang lagaathe
lekin uncleji bole
dekhoon main ek sthri purush
raas leela rachaathe

jogi bole beta tumne jo dekha
balak ne wo na dekha
aur jo balak ne dekha
tum use dekh bhi na paoge
Kyonki tum wahi dekhoge jo tum dekhna chahoge

Tum wahi dekhoge jaisi tumhari soch hai
Koi nahi samaj sakhtha
bolne waale ki koi bhi sachayi..
agar tumhe apni hi khayaali khichdi pakaani hai
to kyon poochthe hai gunegaar ko dene apni safaai

kaise kare shukriya in badon ka
jo hame itne achche se samajhthe hai
bina bathaaye hi hamaari har baath
apni kahaani aap hi baanaathe hai
apni safaai ka mauka zaroor dethe hai
lekin sirf apni kahaani maanane ka maksadh rakhthe hai

Niyath tho badli nahi ja sakhthi
soch nahi sudhaari ja sakhthi
Nazriya bhi apna tajurba hotha hai
par apno ko samjhne ki koshish tho kee ja sakhthi hai!

Manzoor hai... aitraaz bhi !

Manzoor hai bayaan karna
Par aitraaz hai khamosh rehna


Manzoor hai sar jhukaana
par aitraaz hai hak par awaaz dhabaana


Manzoor hai inkaar karna
Par aitraaz hai inkaar ko izhaar na karna


Manzoor hai hak jathaana
par aitraaz hai yoon peeche chod jaana


Manzoor hai taqleefe uttaana
par aitraaz hai akele par bhoj dahna


Manzoor hai khwahish mukamal na hona
par aitraaz hai bahaane banaana


Manzoor hai duniya ki zillath jhelna
par aitraaz hai buzdili se dillagi nibhana


Manzoor hai haar jaana
par aitraaz hai koshish kiye bina haar maan jaana


Manzoor hai manzil na paana
par aitraaz hai koshish bina nakaam hona


Manzoor hai do navon ka maaji banna
par aitraaz hai do naavon main per pasaarna


Manzoor hai parayon ko apna banaana
par aitraaz hai parayon ke liye apno ko paraya kar dena


Mansoor hai taqdeer se ladna
par aitraaz hai apno se man mutaav rakhna


Manzoor hai duniya ke sahi galath saranko par rakhna
par aitraaz hai sahooliyath se niyamo ko badhalna


Manzoor hai sabhika aitraaz karna
par aitraaz hai unki khudgarzi ko manzoor karna!!

Raat se Ishq....

Doobtha hua sooraj hai aage
dalne waali hai roshni...
saath rangon ke khel ke baad
aane waali hai chandni...

Thap thapaathi dhoop ne suljhaaya hai poore din
Ab thadpa nahi jaatha bewaja tere bin...
Intezaar tha isi shaam ka..
jiske baad dahl jayega yeh din...
khatham hua intezaar ka yeh silsila
Intezaar ke intezaar main,
akele hi...tere bin.

Aakhri shaam ke dhalthe sooraj ne
bhikre hai saare rang asmaan main
jaise swagath kar raha hai andhere ka
jo andhera hai roshan sooraj ki roshni se
jo raath hai ujwal din ke ujaale se

Kuch hi palon main
raat ka andhera nigal jayegi yeh roshni
kuch hi palon main
dahl jaayegi yeh zindagi

Lambi raath hai aane waali
gehri neend hai chaane waali
Kuch der hi sahi hogi ujaale par andhere ki jeet
Lekin hamesha ke liye hogi zindagi par meri jeet...

Friday, June 10, 2011

I dont regret the things i have done
Or the things i have chosen not to do,
Because watever i have done...
I must have done something right...
Because i ended up with you!

~Someone

Kuch bhi likho....

Dil khol ke likho
mooh thod likho
pyar se likho
apne dard ko likho


Likho tho aisa likho
ke chahne waalon ke dil main dasthak ho
bindaas likho
ke sochne waalon ke dimaag main khat khat ho
dil khol likhon
jaise darr ka koi naam na ho

kuch kehne ki ijaazath tho nahi di zamaane ne
apne mann ki baath kehne ka mauka nahi diya duniyawalon ne
likhne se tho rok nahi sakhtha koi
shabdh ko kaidh nahi kar sakhtha koi....

Tho har raaz ka khulaasa likh kar karo
dil main kaid har us baath ka elaam likh kar karo
rooh main dhabe jasbaath ka bayaan likh kar karo
khuda se bhi na maangi, us khwahish ki maang likh kar karo

Ab na poochna
likhoon tho kya likhoon
ab likhne ko kahoon
tho har ek baath likho...

Likhoon tho kya likhoon...

Mujhse keh rahi hain ki kuch likho...
samaj na aaye kya likhoon...
logon ki jeet likhu ya meri haar likhoon,
ya dil ka saara pyaar likhoon...
vo pal mein beete saal likhoon, ya sadiyo lambi raat likhoon....
usko apne paas likhoon, ya doori ka ehsaas likhoon...
vo pehli pehli pyas likhoon, ya nishchal pehla pyar likhoon...
saawan ki baarish mein bheegoon, ya aasoon ki barsaat likhoon...
samaj na aaye kya likhoon...
likhoon tho kya likhoon...

Thursday, June 9, 2011

Dil Ek Makaan

Mere dil tha ek kamra

jisme aana jaana tha sabhi ka

yeh dil na jaantha tha kaun hain acha bura

kaun hain apna parayaa

Rehne dethi main sabko bina liye koi kiraya


Kya kya rang khile is char diwaari main

ghar parivaar dosthi yaari main

sab mil jhul ke rehthe the ek saath

hasi khushi le hathon main haath



Magar ab is kamre ka andaaz hai kuch nirala

ghar parivaar dosthon ko bahar kar daala

abtho basera hai kuch naye logon ka dil main

jiske baad na koi apna hai yaa paraya



Ek pal ki hasi aur do pal ki khushi

kuch der ka sannatta, kuch pal ki khamoshi

ek dum se toota dil par ubaltha keher

dooje pal hi hui aansoon ki peher

phir doobooon main gehre soch main is kadar

kisne banaya mera dil ek gutter



Dil main utne waale har ek jasbaath

Ab Is kamre main rehthe hai ek saath

In sab ne nikaal bahar kiya mera khilkhilaatha sansaar

sulaj gayi hoon main bheether is chaar diwaar



kaise nikaal bahar karoon in naye kiraydaron ko

nahi dena mujhe ghar in zehreele sapon ko

ab tho hoga yeh ghar sirf hum do bechaaron ka

mera uska aur hamare aane waale kal ka



koi madadh karo meri

chahthi hoon main hona aar ya paar

azaad karo mujhe in uttthe chadthe ehsaaso se

warna kar doongi is dil ko do ya chaar....

Wednesday, June 8, 2011

Kya keeje ......

kya keeje main kya keeje
koi mujhe batayein ke main kya keeje
kis chaurahe par aa khadi hoon ki na jaanoo main
ki ab kya keeje

maa se toota naatha
paa ka toota bharosa
zindagi bhar ka ruthba gavaya
bhikre rishte naathe
Kiya sab pyaar ke liye
Aur main kya keeje

maa samjhe kiya maine dhoka...
sab ki aankhon main dhool jhonka
na bathaaya unhe man ki bath
shaadi kyon keeje?

Kya mujhe na mila dhonka
shaadhi thi yaa tha koi prem vivash samjhotha
us jaal main dham ghuta tho bhaag aayi vapas pyar ke paas
kiya to kyaa galath keeje

Laut aayi main magar bina koi ijazath
ghus gayi uski duniya main bina diye koi dhasthak
asmanjas main pad gaya hai vo
chune mujhe ya apni maa ko
sahi baath hai, vo bhi kya keeje?


dui saal beeth gaye
rona sabhika abhi bhi baaki hai
sukh na aaye tho aaye
sab ki judaayi ka gam bhi na jaaye
yeh kaisi duvidha hai?
Sab kehthe hai, yeh aisi duvidha hai
jiska hal mujhe hai karna
poore parivaar ko ek keeje
apni nayi duniya baseeje
suhagan ka sukh deeje
magar yeh sab main kiye tho kaise keeje


mohe karan ghut rahi meri ma yahan aur pa wahan
mohe karan thadap raha mora piya kahan
kuch na sooj raha mujhe kiye tho kyaa keeje?

kar paoon main bas ek hi baath.
bhag jaoon chod sab ka saath....
kayar ban museebath se mooh mod
khatham kar doon zindagi ka yeh thod
par choot jayenge sabhi apne peeche
aur bhi gehre ansoon main ankhen meeche meeche.
koi tho bataaye kiye tho main kyaa keeje .. kyaaa keejee!!

Manzoor nahi....

Pal do pal ki khushi main lut gayi do duniya...
tadap tadap ke jeethe hai ab
na jaane manzil kahan,
kahan le ja rahi yeh dariya


Hum is kadar ek ho gayein hai
Mauth bhi jaise alag na kar payegi
Jiya jaaye na akele na jaaya jaaye peeche chod manzille
isi ghutan main akele alvida kehne ka bhi
rooh main dum nahi
par is ghuttan main jeena bhi tho manzoor nahi !

Zinda hoon is Zindagi main
Saans lethi hoon is ghutan main
ek aas main... ek ehsaas main ki
pyaar par pyaar hai....
us par aitbaar hai...
Ek din aisa ayega jab pal pal ki beethi wo khushiya
is tarah laut ayengi... ki saare zakaham aur dard bhulakar
pyaar hi pyaar bhari ek duniya bhet mil jayegi.

Par taqdeer se bharosa utta hai is kadar
ki khud ke saaye main bhi chipa jaisse koi jaal hai.
halathon main is kadar toot gayi hoon ki
dariya dubaa de mujhe... koi shikawa nahi.....
saans chin jaaye abhi koi shikayath nahi
par aansoon ke leher main ghut ghut ke jeena ab jaise bilkul manzoor nahi...

Is fakiri main
naa raah hai ab na hi koi raahi
naa chaah hai koi na bachi koi chahat..
sirf maut hi hai jo ab de sakhthi hai salon ke is ghutan se rahat!

Tuesday, June 7, 2011

Monday, June 6, 2011

Ek Choti Si Ilteja

Ek bandhe ke life ka sabse bada sapna hotha hai shaadi...
shaadi se judi zindagi ki abaadi
Jisme aish karega, saath hogi uski shehzaadi

Kaun kehtha hai shadi hai barbaadi
isme tho hai fultoo mauj masthi aur jawani
har pal main khilthi ek nayi kahani
do jism aur ek jaan ki hai yeh zindagaani

Ho sakhthi hai yeh barbaadi
agar apne dil ki na maani
kahein lakh buzurg apne zamaane ki batein
tabki reeti reewaaz jaath paath ki saugatein
Magar Uncha khandaan, Naami gharana
Rahu ketu ke chakkar main na aana
Mano sab baath naana naani papa mummy ki
lekin duhraathe raho apne chehre par khili har ek muskaan ki
Kyonki jasbaathon ke damm par liya gaya ek galath faisla
chun chun kar badla legi har ek muskaan ki
jo saath de sakhthi thi umar bhar tumhaara
par khokle vishwason ko nibhane ke chakkar main, zindagi ko kar diya khaara

Kyon nahi sochtha zamana
shadhi nahi hai band baaja aur barathiyon ko khilaana
Hai hello ke alaawa
kya koi bhi baarathi mud kar dekhtha hai dobara
Kya detha hai saath aane waale halaathon ka
phir kyon de dhyan unki khokli baaton ka
yeh tho hai umar bhar ka saath aur sangharsh
sirf pyaar bhare do dilon ka


Tho kyon dare zaamane se
Chahein wah wahi de ya shaabashi
taana kasse, yaa de duhaai
Kyon soche duniyawaalon ki kadwaahat ko
Socho sirf apne bete beti ki chahath ko
Is sansaar main naahi hai koi oonch neech
naahi nakshatron ka koi khel
Sirf pyaar hai khushyon ki poonji
Jispar daud padegi zindagi ki rail


Aap hi math ghoton apni khushi ka gala
Math do andhvishwaas ko dene tume saza
Jago duniya jago, kyon zidd par ade ho bewaja
Jiyo aur jeene do
bass yahi hai humari ilteja!

Ikraare Mohabbat

main akela.. tum bi akeli
kyun nahi ban jaathi meri saheli
Dosthi hi dooriyaa mitaathi hai,
ek naya naseeb banathi hai
Ek dosth banke hi sahi, tum hamesha mere kareeb raho,
yahi meri rab se dua rahthi hai

main or mera dil madhhosh hai
tum or tumhare hott khamosh hai
mujhme izhare mohabat ka dum nahi
Tumhe kho dene ka dar hai

na hi main na hi tum
khul kar izhaar karthi ho
bas naino se hi pyaar ka ikraar karthi ho

lekin ab main tang aa gaya hoon
tumhare is khamoshi se
aakhir kab thak chalu main is prem ki madhhoshi me


lo maine aaj har maani...
main apni zulm ka ikbaal kartha hoon
lo maine aaj har maani...
main apni zulm ka ikraar kartha hoon

haa main.. tumse.. sirf tumse.. sirf tumse pyaar kartha hoon

Sunday, June 5, 2011

Beethe Lamhe

Ek dil ki hai yeh kahani
Jiske saath jeene marne ki thi taani

Ek din achanak se aaya woh meri zindagi main
Yaraane ko ashiqiue main badalne
Mann main dabe jasbaath jagaane
Pyaar ki ek joth jalaane

kitne haseen the woh lamhe
mauj bhare din, aur raath suhaane
Jisme ek ek pal main thi ek anokhi ravaani
Baadalon ki ser karti main, lekar pariyon ki savari

Magar dosthi ke is naye rang ko na pehchaana maine
Is rang ki gehraayi ko na jaana maine
Ek din achanak usko paas apne na paaya
vapas gaya voh laut, kuch dinno ke liye hi sahi
Tab jaana, kitni khaali pad gayi hai.. zindagi yeh meri

Aise the tevar mere jab
Din ki shuruvaath hothi uske pyaar bhare labzon se
Aur palkhein bhaari hothi uske hi sapnon se.
Magar ab haal yeh hai ki
Har pal kisi kaa intezaar rehtha
hamesha uske paas hone ki chah rehthi

Tab jaana ye jeena bhi koi jeena tha
Jab maine na jaana sachcha pyaar kya tha
Unn anmol lamhon ko jeethe hue yeh ehsaas na hua,
jo ehsaas in dooriyon main hotha tha.


Hai lambi badi yeh kahani meri
Chahein bohoth kam waqt hai saath bitaani padi
par pal pal aise jiye hai har dum
Ki sadiyon tak yaad rakhenge hum

Khuda ke diye un chand lamhon ke baad, aisa andhera chaaya
khushiyon ki voh lehar, ek khonfnaak kehar hai laaya
Man oong sa gaya hai in faaslon main
ab tho bas dooriyan hi dooriyan hai saanson main


Aaj dobara usi chorahe par aa khadi hoon
Jis mod se hui thi woh shuruvaat niraali
Magar is bar nahi hai intezaar kisi ka
yaa koi chaahath adhoori...
Bas ! tham jaaye... teher jaaye.....
Yeh pal yahi... ya meri saanse yoonhi.....

Kuch baaki hai

Tanhai ka aalam chaaya hai
Majboori ki zanjeeron ne phasaaya hai
Is dil ke dard ko bhagane ke liye
yaadon ko bhulaana baaki hai...

hein mere jeevan mein sab kuch.. phir bi,
Use paane ke liye haath badaan baaki hai...

Hein mere bi chaahnewaale.. phir bi
kyu unhe paana gavara nahin.
Is akeleppan ko bhagaane ke liye
Ek naye saathi ki talaash baaki hai....

Kaash main waqt ko ghuma paatha...
Zindagi ki pehluon ko badal patha...
Magar aisa kuch hone ke liye
Ek chamatkaar baaki hai.....

hein ek diya man maim mere..
Jiske damm par jeene ki koshish kar raha hoon.
Par zindangi jamm ke jeene ke liye
Tanhai muskurane ke liye..
Majboori ke zanjeeron se azaad hone ke liye...
yadon ko bhulane ke liye
Dard ko bhagaane ke liye

Yeh diya bujhana baaki hai...
Ek nahi umeed jagaana baaki hai!!

GoodBye

I still miss you,but not like I did before,
The intense aching I felt,isn't there anymore.

I still whisper your name,not as often as I used to,
Now it may be once,before the day is through.

I still hear your voice,replaying in my mind,
But it's fading now,soon silence I will find.

I still long for you,to feel your touch,
But it's not like before,i don't dream it as much.

I still think about you,and wonder how you are,
But my feelings have changed,and they don't go as far.

I still feel you sometimes,maybe you're thinking of me?
Or it's just how it used to be, infact now you shouldnt be.

I still love you, but it cant be expressed as i used to do,
Because I'm letting you go now,as you have so much to do

I still hear me say,no one will love me like you do,
But dt's so hard to hold on to,after the hurt i may put you through.
You still have a piece of my heart,because I always felt you here,
Now, I'm hoping and praying,that, that too, will quickly disappear.

This will be my last goodbye,I've nothing else to say,
Everything u felt for me,should now just fade away....