Sunday, June 5, 2011

Kuch baaki hai

Tanhai ka aalam chaaya hai
Majboori ki zanjeeron ne phasaaya hai
Is dil ke dard ko bhagane ke liye
yaadon ko bhulaana baaki hai...

hein mere jeevan mein sab kuch.. phir bi,
Use paane ke liye haath badaan baaki hai...

Hein mere bi chaahnewaale.. phir bi
kyu unhe paana gavara nahin.
Is akeleppan ko bhagaane ke liye
Ek naye saathi ki talaash baaki hai....

Kaash main waqt ko ghuma paatha...
Zindagi ki pehluon ko badal patha...
Magar aisa kuch hone ke liye
Ek chamatkaar baaki hai.....

hein ek diya man maim mere..
Jiske damm par jeene ki koshish kar raha hoon.
Par zindangi jamm ke jeene ke liye
Tanhai muskurane ke liye..
Majboori ke zanjeeron se azaad hone ke liye...
yadon ko bhulane ke liye
Dard ko bhagaane ke liye

Yeh diya bujhana baaki hai...
Ek nahi umeed jagaana baaki hai!!

2 comments:

  1. "Yeh diya bujhana baaki hai...
    Ek nahi umeed jagaana baaki hai!!" umeed ka woh diya milaka saroor thuja..jiski roshni sa thum muskurana laghaka...yahi meri duva hai rub sa thumaraliya....riyamma..

    ReplyDelete
  2. aapki duvaayein bohoth kaam ayengi.... thanks a tonn ;)

    ReplyDelete