Sunday, June 5, 2011

Beethe Lamhe

Ek dil ki hai yeh kahani
Jiske saath jeene marne ki thi taani

Ek din achanak se aaya woh meri zindagi main
Yaraane ko ashiqiue main badalne
Mann main dabe jasbaath jagaane
Pyaar ki ek joth jalaane

kitne haseen the woh lamhe
mauj bhare din, aur raath suhaane
Jisme ek ek pal main thi ek anokhi ravaani
Baadalon ki ser karti main, lekar pariyon ki savari

Magar dosthi ke is naye rang ko na pehchaana maine
Is rang ki gehraayi ko na jaana maine
Ek din achanak usko paas apne na paaya
vapas gaya voh laut, kuch dinno ke liye hi sahi
Tab jaana, kitni khaali pad gayi hai.. zindagi yeh meri

Aise the tevar mere jab
Din ki shuruvaath hothi uske pyaar bhare labzon se
Aur palkhein bhaari hothi uske hi sapnon se.
Magar ab haal yeh hai ki
Har pal kisi kaa intezaar rehtha
hamesha uske paas hone ki chah rehthi

Tab jaana ye jeena bhi koi jeena tha
Jab maine na jaana sachcha pyaar kya tha
Unn anmol lamhon ko jeethe hue yeh ehsaas na hua,
jo ehsaas in dooriyon main hotha tha.


Hai lambi badi yeh kahani meri
Chahein bohoth kam waqt hai saath bitaani padi
par pal pal aise jiye hai har dum
Ki sadiyon tak yaad rakhenge hum

Khuda ke diye un chand lamhon ke baad, aisa andhera chaaya
khushiyon ki voh lehar, ek khonfnaak kehar hai laaya
Man oong sa gaya hai in faaslon main
ab tho bas dooriyan hi dooriyan hai saanson main


Aaj dobara usi chorahe par aa khadi hoon
Jis mod se hui thi woh shuruvaat niraali
Magar is bar nahi hai intezaar kisi ka
yaa koi chaahath adhoori...
Bas ! tham jaaye... teher jaaye.....
Yeh pal yahi... ya meri saanse yoonhi.....

No comments:

Post a Comment