Saturday, June 18, 2011

Nazriya...

Nazriya hai nazar ki soch
nahi kartha koi sankoch
jise sab samajthe hai yahi hai sachayi
Maane yeh tho jhoota hai parchaayi

Yeh nazar tho dekhe jo woh dekhna chaahe
yeh fitrath tho soche jo woh sochna chaahe
nahi hai kuch sahi ya galaath
yeh tho wahi hai jo hai nazar pehchaanna chaahe

ek jogi ne ek din ek bache se poocha
kya dekhthe ho tum is tasveer main
wahi poocha ek tajoorbedaar se
kya dekhthe ho tum is tasveer main

bacha bola dekhoon main do machliya
aasmaan ki aur chalaang lagaathe
lekin uncleji bole
dekhoon main ek sthri purush
raas leela rachaathe

jogi bole beta tumne jo dekha
balak ne wo na dekha
aur jo balak ne dekha
tum use dekh bhi na paoge
Kyonki tum wahi dekhoge jo tum dekhna chahoge

Tum wahi dekhoge jaisi tumhari soch hai
Koi nahi samaj sakhtha
bolne waale ki koi bhi sachayi..
agar tumhe apni hi khayaali khichdi pakaani hai
to kyon poochthe hai gunegaar ko dene apni safaai

kaise kare shukriya in badon ka
jo hame itne achche se samajhthe hai
bina bathaaye hi hamaari har baath
apni kahaani aap hi baanaathe hai
apni safaai ka mauka zaroor dethe hai
lekin sirf apni kahaani maanane ka maksadh rakhthe hai

Niyath tho badli nahi ja sakhthi
soch nahi sudhaari ja sakhthi
Nazriya bhi apna tajurba hotha hai
par apno ko samjhne ki koshish tho kee ja sakhthi hai!

No comments:

Post a Comment