Saturday, June 18, 2011

Raat se Ishq....

Doobtha hua sooraj hai aage
dalne waali hai roshni...
saath rangon ke khel ke baad
aane waali hai chandni...

Thap thapaathi dhoop ne suljhaaya hai poore din
Ab thadpa nahi jaatha bewaja tere bin...
Intezaar tha isi shaam ka..
jiske baad dahl jayega yeh din...
khatham hua intezaar ka yeh silsila
Intezaar ke intezaar main,
akele hi...tere bin.

Aakhri shaam ke dhalthe sooraj ne
bhikre hai saare rang asmaan main
jaise swagath kar raha hai andhere ka
jo andhera hai roshan sooraj ki roshni se
jo raath hai ujwal din ke ujaale se

Kuch hi palon main
raat ka andhera nigal jayegi yeh roshni
kuch hi palon main
dahl jaayegi yeh zindagi

Lambi raath hai aane waali
gehri neend hai chaane waali
Kuch der hi sahi hogi ujaale par andhere ki jeet
Lekin hamesha ke liye hogi zindagi par meri jeet...

No comments:

Post a Comment