Sunday, July 17, 2011

Pyaar Mere

Ruth Gunguna raha hai
Rooh geet gaa raha hai
aankhen chamak rahi hai
palkein jhilmila rahi hain
bitaayein jo pal aaj piya sang
bhiker diye is tasveer par sau rang

Ajab si masthi hai chaayi
bin mothi payal jhankaayi
naach rahi dhadkan meri betaal
Khanak rahe gungru, mila rahi jaise taal se taal
bitaayein jo pal aaj piya sang
kar diya rangeen har berang

Sajneka man kar raha hai arson baad
savarneka ji kar raha, jaana hai piya ke saath
Kiya hai waada le jayega apne desh
jald hi layega woh yeh sunhara sandhesh
bitaayein jo pal aaj piya sang
bitha sakoon har lamha tere sang

Mann kitna hai baichein
paas paane ko tadap raha hai dil
Choomne ko jee chaah raha is pal
Lele apni bahon main, aur karle mujhe hasil
bitaayein jo pal dooriyon main aaj tere sang
bithaana chahoon kareeb se wo har ek pal

Thod de yeh majboori ka bandhan
na raha khudpar koi kaabu
Leja door apne sang
ghuma apni chadi aur kar de koi jaadu
bitaayein jo pal dooriyon main aaj tere sang
Bitaana chaahoon har woh pal hokar bekaabu

Door ho yaa paas
ehsaaas tho ehsaaas hai
dooriyon main hain yeh nasha
tho mulakaath ka maza tho kuch khaas hai
bitaayein jo pal dooriyon main aaj tere sang
bithaana chahoon kareeb se, yahi meri aas hai

Is saza main bhi hai ek alag hi nasha
tera pyaar jaise sar chad kar bol raha
Is nashe main dhuth, hoon tujhpe fida
aana jald lene mujhe
phir kabhi na karna khudse juda!

Sunday, July 10, 2011

Dil Pill

Ladki badi anjaani si
sapna hai sach ya kahaani thi
naji re na na
nahi koi bollywood track sunaana
par hai yeh story kuch waisi hi...

Nahi thi wo koi hoor ki pari
naa ooncha kadh yaa chitti gori
naa sheela ki jawaani
na munni ki badhnaami
bas thi ek pagal sirphiri deewaani

Na thi wo koi madhgaamini
na rambha urvashi mohini
ek seedhi saadhi chori
man loot baiti chori chori

Ya tho chora tha pagal
yaa tha ankhon se thang
maara prem rog ne aisa fang
mara na mara, adhmara reh gaya
sochtha hoga ab, eh khuda yeh kahaan phas gaya!

tha munda pagal us londiyaa ke peeche
sau choriya marthi hongi uspe
kya use koi na dikhi, sivaaye iske?
Thing before u leap u dude
take a chill pill
warna lena padega later dil pill.

sau mana kiya chori ne ediya ghis ghis ke
par ek na suni usne, invited apni kismat khud se
dhodi baagi ladki usse chip chip ke
par peecha na choda us chumbak ne kasam se

Uski deewangi par marna tho tha hi by god
nateeja kya hua,
dono aa gaye in the middle of the road.
ab tho halath hai kisi dhobi ke kutte ki
jo nigala wo na hazam hoye
na hi koi naya panchi nigala jaaye

ab man hi man bhagtha hoga ladka chip chip ke
par kya kare, aaya twist in the story
ladki chipku ho gayi hai us chamku ke!

Moral of the kahani is
maano badon ki baath before its late
thabhi kahath kabeer das
ab pachtaaye hoth kya
jab laundiya chug gayi fate!

Saturday, July 9, 2011

Aas

Mudhathon baad hai milne aaye
aapko dekh khil utta hai man
maano lash main aa gayi ho ek nayi umang.
Par is mulakaath main hum tho khush hue
magar gumsum hai aap!

Maana is mulakaath main nahi kee humne koi gufthugu
naahi chip-chip ke kee koi guturkoon,
na gaye bahar dekhne koi picture,
ya khaayi koi paani poori milkar.
Par arson baad mile tho sahi
yahi hai mere liye sabse badkar.
Is mulakaath main hum tho khush hue
magar gumsum hai aap.

Kya isliye ki root gayi hoon bewaja, hamesha ki tarah?
gussa ho rahi hoon apne pyar par bewaja, hamesha ki tarah?
Rooti nahi, bus khamosh hoon
aankhen bandh hai meri, bas madhhosh hoon
ab tho rahoongi main hardam tere saath
bankar tera saaya din ho ya raat.
Is saath se hum tho khush hue
magar ab bhi gumsum hai aap!

Maana aaapne chaaha tha dene mujhe saadhi ka joda
lekin pehna sake sirf kafan ka joda
Magar aapke haath se mila kafan hi hai, aaj mere lagan ka din
mehandi na rachayi magar, khoob nikhar gaya hai mera dil.
sadha suhagan marna bhi tho hai kismat ki baath
Is Kismat se hum tho khush hue
magar gumsum hai aap

Math rehna is kadar gum main aap
kar dena meri saari galthiya maaf
Anjaan samajhkar bhula dena voh saare gum
jo diye hai maine bin soche hardum

Aapki is tanhaayi ko dekh
nahi reh sakthe hum aapke paas
karna shuru ek nayi zindaagi
yahi hai meri anthim aas
aapko jeetha dekh, jeeloongi apni zindagi main
aapka pyar dekh, paaloongi apni chaahat main
nahi karoongi koi gila, sauthan le aaye aap
In khushyon main hum honge bohoth khush
aur is baar gumsum nahi hai aap

Bheek ki zindagi

Ghadi ki sui ki tik tik main beethe ek ek pal
Is tik tik main beethe aaj or kal
kal kal main nikal jaathe hai maheene
Barah maheeno main guzar jatha hai ek saal

Saans lethi is kaaya main tadap rahi yeh rooh
toot chuka hai ab jaise saara huroor
Darthe hai ke pol na khul jaaye meri
Jhoot ka pull girr jaaye na kahi
Yun chip chip ke jeene main koi maza nahi
Zamaane se dar kar jeena, saza se kam nahi

Kaun samaj sakhtha hai, yeh majboori meri
Jab thak aap par hi na toote aisa keher koi
Doosron ke dard ko samajhne ke liye dard sehna zaroori hai
warna door se dekhne walon ke liye tho sirf
dukh bhari ek kahani hai

Agar nadiya ke us aur jaana hi na tha
tho kyon kiya shuru is safar ka karvaan
Jis makaam par phonch hi na sako
kyo shuru kiya us sangharsh ki dastaan

Ab na doongi is pal ko salon main badalne
Chahoon ek faisla jo zindagi badal de
Koi gum nahi is kahani ka anth kya ho
par chahthi hoon yeh intezaar yahi khatam ho

Nahi chahoon main ek zindagi
jo payi gayi ho bandhook ki nok pe
Nahi chahoon ek faisla
Jo liya gaya ho kauf ya dar se

Paane ka naam hai jab hak se mile
Jeene ka naam hai jab khushi se jiye
Aanson ke bal par mili khushi ka kya mol
dhamki aur dar se uttaye kadam ka kya tol

Karli hai maine intezaar ki hadh paar
nahi jeena chahoon jiske dagmagathe ho chaal
Bheek main mili zindagi na jeena chahoon main
Seena channi kardo
dil ko karlo chalees
kisiko bhi na laangni pade
Badhkismati ki yeh dehleez!

Guzaarish

More piyaa
ab thadpaoon na mora jiya

Paas mere aaoona
door ab jaaoo na
hoton se kuch na kaahan
par saanson ko samaj jaona
More piyaa
ab thadpaoon na mora jiya


Tujh sang jo pal bitayein hai
kab jaake vapas aayenge
raha na jaaye ek pal bhi ab
ek pal bhi tere bin piya
More piyaa
ab thadpaoon na mora jiya


dhadak raha is kadar mera man
paas aake dhadkne meri sun
isi bahane pas paoongi tujhe,
is pal ko karlu hazil, lagi hain bas yahi dhun

yeh ruth kab badlegi
kab badlega ye mausam
intezaar hai yeh kabki
oodlu apne jism main, khushbu tere jism ki
baras ja mujhpar,bin badal barsaat sa
More piyaa
ab thadpaoon na mora jiya

Jo thadap is taraf hai
wo thadap us tharaf bhi hai
phir kyon rakhein yeh faasle
kuch hasi pal hain chune
karlo hasil jo bhi sapne hai bune

tu dil ki bekaraari,tu sukoon
tu hamsafar, tu arzoon
basaale apne main mujhe is kadar
doonde koi mujhe
to aon teri aankhon main nazar

Tere sang jiyoon,
har rastha tere sang chaloon
churaaya tha thune chein mera
ab churaale mujhse sab kuch mera
Ab na rakho yeh dooriyaa
More piyaa
ab thadpaoon na mora jiya

Yeh dooriya ab sauthan jaisa laage
mohe kuch bhi achaa na laage
Sab kuch kho kar paya hai
ab pakar khone ko dil na maane
More piyaa
ab thadpaoon na mora jiya

ab mitaadho yeh dooriya
dil se dil mila do mere piya,
seene main chup jaane de
saanson mein kho jaane de
ek din par hakk ho bas mera
More piyaa
ab thadpaoon na mera jiya

Apne Paraye

Parayo se zyaada apno se dar lagne laga hai
pyaar se zyaada nafrath suhaana lagne laga hai
Thappad se zyaada apno ke saath se dar lagne laga hai
vadon se zyada naumeede par bharosa hone laga hai

Aane waale kal ka kya bharosa
beethe aaj ki shukraguzaar hoon
Is umeed se ki zindagi beeth jaaye is aaj se
koi aur aaj na aaye is aaj se

kehthe hai jiyo jaise kal na ho
haso jaise koi gum na ho
lekin main chahoon
jiyu aaj jaise kal kabhi na aaye
hasu aise ki hasi main dhadkan rukh jaaye

Parayon se tokar khao
tho paraya kehkar bhulaaya ja sakhtha hai
lekin apno se dhoka khao
tho kya kehkar dil ko sambhala ja sakhtha hai

zindagi ki is ladai main
itni sakhth ho gayi hoon main
mere dard na dikhe jaise
apno ke dard ko saamajhna bhi
zaroori nahi samajhthi main

Poori zindagi, din ki shuruwaath us aane waale din ke swagath main hothi thi
pyar ke baad din ki shuruwaath kisi ke sapne sajaye shuru hothi thi
phir jo waqt badla ki din ka ujaala aur raath ke andhere main pharak kaha tha
toot gayi is kadar ki ujaale se ujaala bhi andhera lagtha tha
Is toote waqt ki aadhath hui tho,
din ki shuruwaath doobe dil ki naumeedi se hothi thi,
par ab itna sudhaar aa chuka hai waqt main
Ki na dard ka ehsaas hai, na koi naumeedi ki chubhan
na koi asra na koi arzoo ya lagan

Is ehsaas main bhi khudh ka sukoon hai
Sukhoon hi sukoon hai!

Ee Khuda

Sab ka rab tho so raha hai aankhen khol
Chup kyo baita hai kuch tho bol...

kehthe hai sab likhkar aathe hai apni taqdeer uper se
tho kyon diye itne gum sabhee ko umar bhar ke
kya nahi kar sakhthe tum apna kaam dang se
tho kyon kehthe ho khud ko khuda itne fakr se

Honge sau jawab tere is ahankaar ke
Jo insaan tho bana diya
lekin, bohothon ko zinda hi kafan pehna diya!
hai agar tujhe pyar apne sabhi bandho se
tho kyon kiya bhedh bhaav
kisi ko di khushya lutaake, tho
kuch ko na di zindagi aadhi paav

Ae khuda, yeh chuppi thod
maangu main tujhse is masle ka jod
dil kahhi dhadkan hai kahi
raah hai jiski manzil hi nahi
reth se phisal rahi hai taqdeer meri

kaise jiyu rooh bhi mujhse hai juda
saanse hai magar zinda nahi main Khuda
Agar chaahe main maanu tujhe sach much ka Khuda
tho jaag aur apna chamatkaar dikha

mera pyar hi hai mujhse kafa
Nahi lad sakhthi akele saathi bina
gum ki siyaahi dikhthi hai kahann
kaise likhoon phirse nayi daastaan
rehthi hoon main khud se hi kafa
toone kyon di mujhe yun jeene ki saza!

Tujhe jo karna hai karle
nahi haarne ka mann mujhme ab
jitni chunothiya rakhni hai rakhle
mooh ki na giraaya tujhe, waada hai, bachle!

Saare apno ko khud se door kar diya
maar diya hai jeetheji apne aap
nahi hai ab hazil karni koi makaam
maut kar di hai maine bilkul asaan

jee liye bohoth maine teri meharbaani par
jaag ab, aur bas bulaale vapas mujhe
warna khud hi aa khatkhataaongi tere dwaar par
nahi doongi tujhe ek mauka aur
rachaane apne koi shadyantr naye!

Khel khel main seek gayi hoon paentre tere
ab aa gaya hai waqt
maath denge tujhe tere hi bandhe
apni laaj bachaani hai
tho maan meri baath
poorri karle sabki muraad
yaa khatam karde sabki saas!